Bistar-e-Marg pay leta hun
Akela hun.
Subhe wisal say guzra hun
Akela hun.
Khawab daikhey they mainey pholon kay
Ajj sehra main betha hun
Akela hun.
Shab-e-Firaq ki umeed ki thi mainey bhi
Ab is zindan main betha hun
Akela hun.
Zindagi daud rahi hai subha shamo main
Main inko jhel raha hun
Akela hun.
Faqat Aik khawab zinda hai inhi tareeq rahon ka
kay jis bhi raah jana ho wahan bhi main
Akel hun.
No comments:
Post a Comment